on Tuesday 3 December 2013
Kal Shab Mene Ek Khawab Dekha
Khawab Mein Tge Apne Sath Dekha

Wo Aye aur Chale Bhi Gaye ..
Wah Rey ! Kya Ajab Mazak Dekha ..


Aa jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan
mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan

yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin
yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan

ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke
waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan

hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein
uth asman tale se ke shabnam bahut hai yan

is butkade mein mani ka kis se karen sawal
adam nahin surat-e-adam bahur hai yan

ajaz-e-isawi se nahin bahs ishq mein
teri hi bat jan-e-mujassim bahut hai yan

mere hilak karne ka gam hai abas tumhen
tum shad zindagani karo gam bahut hai yan

shayad ke kam subh tak apana khinchena "Meer"
ahawal aj sham se darham bahut hai yan


Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.

Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.

Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.

Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq.

Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.

Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.

Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq..
Laga na dil ko kya sunaa nahin tu ne,
Jo kuch ke Meer ka is aashqui ne haal kiya..
Sharminda hon ge, jaaney bhi do imtihaan ko,
Rakhe ga tum ko kon aziz, apni jaan se..
Phatta purana khawb hai mera phir bhi "Tabish"
Is mein apna aap chupaya jasakta hai


Pani ankh main bhar k laya ja sakta hai
ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai

aik mohabat aur wo bhi nakam mobhat
lekin is se kam chaleya ja sakta hai

Dil par pani piny ati hain umeeden
is chashmy main zeher milaya ja sakta hai

mujh benam se pujhty hain Farhad-o-Majnoo
ishq main kitna naam kamaya ja sakta hai

phatta puran khwab hai mera phir bhi "Tabish"
is main apna aap chupaya ja sakta hai
Kia Zaroori Hai Ke Hum Haar Ke Jeetien "Tabish"
Ishq Ka Khel Baraber Bhi To Ho Sakta Hai...


Meri tanhai barhate hain chale jate hain,
Hanss talaab pe ate hain chale jate hain,

Is liye ab mein kisi ko nahin jane deta,
Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain,

Meri ankhon se bahaa karti hai un ki khushu,
Raftgaa’n khawb mein ate hain chale jate hain,
Betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya
ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya
zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya
sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya