Showing posts with label Meer Taqi Meer. Show all posts
Showing posts with label Meer Taqi Meer. Show all posts
on Tuesday 3 December 2013


Aa jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan
mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan

yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin
yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan

ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke
waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan

hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein
uth asman tale se ke shabnam bahut hai yan

is butkade mein mani ka kis se karen sawal
adam nahin surat-e-adam bahur hai yan

ajaz-e-isawi se nahin bahs ishq mein
teri hi bat jan-e-mujassim bahut hai yan

mere hilak karne ka gam hai abas tumhen
tum shad zindagani karo gam bahut hai yan

shayad ke kam subh tak apana khinchena "Meer"
ahawal aj sham se darham bahut hai yan


Kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.

Ishq hi ishq hai jahaan dekho,
Saare aalam mein bhar raha hai ishq.

Ishq maashuq ishq aashiq hai,
Yaani apna hi mubtala hai ishq.

Ishq hai tarz-o-taur ishq ke taeen,
Kahin banda kahin Khuda hai ishq.

Kaun maqsad ko ishq bin pohuncha,
Aarzoo ishq wa mudda hai ishq.

Koi khwaahan nahin mahabbat ka,
Tu kahe jins-e-narawa hai ishq.

Mir ji zarad hote jaate hain,
Kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq..
Laga na dil ko kya sunaa nahin tu ne,
Jo kuch ke Meer ka is aashqui ne haal kiya..
Sharminda hon ge, jaaney bhi do imtihaan ko,
Rakhe ga tum ko kon aziz, apni jaan se..