Showing posts with label Nasir Kazmi. Show all posts
Showing posts with label Nasir Kazmi. Show all posts
on Tuesday 19 November 2013


Kuch Tou Ehsaas-e-Ziyaan Tha Phele
Dil Ka Ye Haal Kahan Tha Phele

Ab Tou Manzil Bhi Hai Khud Garm-e-Safar
Har Qadam Sang-e-Nishaan Tha Phele

Safar-e-Shoq Ke Farsang Na Pooch
Waqt Be-Qaid Makaan Tha Phele

Ye Alag Baat Ke Gham Raas Hai Ab
Is Mein Andaisha-e-Jaan Tha Phele

Yun Na Ghabraye Howay Phirtay Thay
Dil Ajab Kunj-e-Amaan Tha Phele

Gham Ne Phir Dil Ko Jagaya “Nasir”
Khana-e-Barbaad Kahan Tha Phele..
Sheher ki be’chiraag  galiyon mein,
Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi..

Nasir Kazmi


Sheher mein humdum puraaney bohat they 
                        "Nasir"
Waqt parrne pe mere kaam na aaya koi..
Kabhi roye, kabhi tujh ko pukaara..
Shab-e-furqat bari mushkil se guzri..
Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya
Mila Nahi Tou Kia Howa, Wo Shakal Tou Dikha Gaya


Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad
Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad..

Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad..
Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad

Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko
Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad..

Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon
Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad..

Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad..