on Wednesday 20 November 2013
Jab tak ham masroof rahe yeh dunya thi sunsaan,
Din dhalte hi dheyaan mein aye kese kese log ..
Sheher ki be’chiraagh galiyon mein,
Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi..
Sheher mein humdum puraaney bohat they "Nasir"
Waqt parrne pe mere kaam na aaya koi..


Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Hogi
Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi

Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali
Apni Tasweer Se Kia Aankh Milati Hogi ?

Is Zameen Pe Bhi Hay Selaab Meray Ashkon Say
Meray Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi..

Roop Day Kar Mujhay Us Main Kisi Shehzaday Ka
Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi


Tum mere dard bhi, gham bhi, alaam bhi tum,
Tumn mera chain ho jana, mera araam bhi tum,

Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe chahaa hai ,
Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum,

Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho,
Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum,


Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,

Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah


Is qadar toot kay tum par humey pyar ata hai,
Apni bahon me bharien mar hi dalien tum ko..
Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey,
Is qadar toot kay chaho mujhey pagal kar do..


Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba Tou Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Qabr Say Aaj Bhi “Mohsin” Ki Aati Hai Sadaa
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi


Maqrooz Ke Bigray Howay Khayaalaat Ki Maanind
Majboor Ke Honton Pe Sawaalaat Ki Maanind

Dil Ka Teri Chaahat Mein Ajab Haal Howa Hai
Sailaab Se Barbaad Makaanaat Ki Maanind

Mein Un Mein Bhatkay Howay Jugnu Ki Tarah Hun
Os Shakhs Ki Aankhain Hain Kisi Raat Ki Maanind

Os Shakhs Se Milna “Mohsin” Mera Mumkin Hee Nahi
Mein Pyaas Ka Sehra Hun Wo Barsaat Ki Maanind


Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do
Tishnagi K Azaab Rehnay Do

Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal
Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do

Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko
Meri Halat Kharab Rehnay Do

Un Ki Chokhat Ko Choom Lo “Mohsin”
Baki Saray Sawaab Rehnay Do….!!


Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge
Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge

Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge
Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge

Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi
Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge

Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara
Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge

Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak
Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Ge


Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia

Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia

Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia

Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia

“Faiz” Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia
Marne ke baad bhi meri aankhain khuli rahin,
Aadat jo parr gayi thi tere intizaar ki..


Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay

Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay

Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay

Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz”
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay
Yeh ajab qayamaten hain teri rahguzar main guzaari,
Na ho ke mar mittain hum, na ho ke jee uthain hum..
Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karo ge..
Munsif ho agar to hashar uthaa kyon nahin dete..


Wo aaye ghar mein hamaare KHUDA ki Qudrat hai

kabhii ham un ko , kabhi apne ghar ko dekhtey hain
ye jo ham hijar mein devaar-o-dar ko dekhate hain
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hain


Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHALIB Kamaal Kartay ho..

Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..

Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho

Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..

ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko
her Sitam Bay-misaal Kartay ho
Tu wo zaalim hai Jo Dil mn reh kr b mera na ban Saka
                               “Ghalib”
Aur Dil wo kafir Jo mujh mn reh kr b tera hogaya…
Hum Ne Mohbaton Ky Nashe Me Aa Kr Use Khuda Bana Dala,
Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ky Khuda Kisi ek Ka Nahi Hota…
Ab tere zikr pe hum baat badal dete hain,
Kitni raghbat thi tere naam se pehle pehle...
Doobty doobty kashti ko saahil pe uchaal doon ga,
Mein nahi koi to saahil pe utar jaye ga..


Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath
Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath

Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain
Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath

Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon
Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath

Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog
Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath

Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan
Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath


Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki
Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki

Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein
Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki

Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein
Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki

Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se
TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki ?

Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraada.n Ko
Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki ?

Dukh Howa Jab Os Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha
Laakh Aib Thay Os Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki


“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoon Bhi Nahi
Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi

Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi

Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi
on Tuesday 19 November 2013


Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise ..

Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise ..

Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise..

Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise ..

Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise ..

Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise ..

“Ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise ,,
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan KHUDA nahin..
Toote hain sheesha dil haaye dil itne ke ehl-e-dard,
Rakhte hain paaon khaak par sau baar dekh kar..
Khulta kisi pay kese mery dil ka muamla..
Shairon k intekhab nay Ruswa kia mujhy..
Be-Khudi Be-Sabab Nahi’n "Ghalib",
Kuchh To Hai Jis Ki Parda-Daari Hai…


Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai
Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai

Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa’t Aai
Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai

Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin
Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai

Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai

Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa
Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa.n Tooti Hai

Mere Yaaron Ke Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein
Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai

Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu 
                      “Mohsin”
Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Hai


Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?

Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena

Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena

Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena..
Munhasir ehl-e-sitam per hi nahi’n hai 
                   "Mohsin"
Log apno’n ki enayat se bhi marr jatay hain. .


Kuch Tou Ehsaas-e-Ziyaan Tha Phele
Dil Ka Ye Haal Kahan Tha Phele

Ab Tou Manzil Bhi Hai Khud Garm-e-Safar
Har Qadam Sang-e-Nishaan Tha Phele

Safar-e-Shoq Ke Farsang Na Pooch
Waqt Be-Qaid Makaan Tha Phele

Ye Alag Baat Ke Gham Raas Hai Ab
Is Mein Andaisha-e-Jaan Tha Phele

Yun Na Ghabraye Howay Phirtay Thay
Dil Ajab Kunj-e-Amaan Tha Phele

Gham Ne Phir Dil Ko Jagaya “Nasir”
Khana-e-Barbaad Kahan Tha Phele..
Sheher ki be’chiraag  galiyon mein,
Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi..

Nasir Kazmi


Sheher mein humdum puraaney bohat they 
                        "Nasir"
Waqt parrne pe mere kaam na aaya koi..
Kabhi roye, kabhi tujh ko pukaara..
Shab-e-furqat bari mushkil se guzri..
Diyaar-e-Dil Ki Raat Mein Charaagh Sa Jalaa Gaya
Mila Nahi Tou Kia Howa, Wo Shakal Tou Dikha Gaya


Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad
Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad..

Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad..
Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad

Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko
Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad..

Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon
Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad..

Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad..


Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia

Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia

“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia 
Aa ke ab tasleem karlen tu nahin to main sahi,..
Kon maaney ga ke hum mein se bewafa koi nahi..
Shair kisi ke hijr main kehnaa , sirf visaal kisi se,
Hum bhi kya hain..!! dheyaan kisi ka aur sawal kisi se..!!
Us ki aankhon ko kabhi ghaur se dekha hai 
                      " Faraz, "
Roney walon ki taraaah jaagney waalon jesi..!!
Pyar bhi karna, zamaney se bhi ghabrana bohat,
Aayino’n ka ghar banana aur pathar sochna..!!