December Poetry

 Irada tha jee loon ga tujh se bichar ke
    Magar guzarta nahi ab December akeley..

 Thithharti huyi shab-e-seyah, aur woh bhi taweel-tar,
     Mohsin, yeh hijar ke maaron pe qayamat hai december..

 Yaad dilaata hai sardd mausam,
     Kisi ke lehjeyy ka sardd hona..

 Kiyu har baat pe koste hain log december ko
    Kiya december ne kaha tha mohabbat karo ..

 December ki yeh pehli shaam hi kitni zaalim hai,
    Aghaaz-e-shaam hi se yaadon ke baadal chaa gaye..

Phir iss sard mausam main, zara na chain se soyen ge,
    December phir se aaya hai, phir se mil ke royen ge..

Zara si dair december ki dhoop mein bethen,
Yeh furstain humain shayed na agley saal milain

0 comments:

Post a Comment