Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise

on Tuesday 19 November 2013


Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise ..

Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise ..

Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise..

Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise ..

Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise ..

Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise ..

“Ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise ,,

0 comments:

Post a Comment